Thursday 28 September 2017

Youtube Se pese kese kamaye hindi me

YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi, Youtube Se Paisa Kamane Ki Hindi Jankari: YouTube se paise kamana koi kathin kam nahi hai. YouTube ko google ne videos dekhne ke liye banaya hai. Is par ham jaise log hi video upload karte hai. Iske badle me humari income hoti hai. Isse aap bina paisa kharch kiye free me online income kar sakte ho.

Is post me main aapko YouTube se paise kamane ke bare me bta raha hu. Yaha aapko youtube se paisa kamane ki puri jankari milegi. Aap ya koi bhi new user is post ko padh kar youtube se paisekama sakta hai. Bas aapko video bana kar youtube par upload karni hai.YouTube google ki hi service hai or google fraud nahi ho sakta ye bat sab jante hai. Agar aapko YouTube me interest hai or aap YouTube se paisa kamana chahate ho or video bana sakte ho to thoda time jarur lagega par post ko pura padhna I promise aapko puri jankari milegi. Chaliye jante hai ki YouTube se paise kaise kamaye jate hai.

Wese youtube ke alawa bhi internet se paise kamane ke bahut se tarike hai jinse bhi aap without investment ke online earning kar sakte ho. Jaise blogging, adsense, affiliate marketing in sabse bare me main apni dusri posts me btaya huahaiYouTubechannel videos upload karne ka sabse best platform hai jis par aap video upload kar ke monthly 10,000, 20,000, 50,000 ya fir 1,00,000 yani 1 lakh se jyada earning kar sakteho. Aaj ke time me bahut se log YouTube se lakho rupees kama bhi rahe hai.Aap bhi bhi kama sakte ho but uske liye aap ke pas kuch chijo ka hona bahut impotant hai.
ApnaYouTube channel banane or YouTube par video upload kar ke paise kamane se pahle ye step follow kijiye. Aapko bas yaha bataye steps followkarne hai uske bad aap bhi isse paise kama sakteho.1. YouTube Se Paise Kamane Ke Liye Kya Kya Hona Chahiye“YouTube se paise kamane ke liye kin kin cheezo ki jarurat padti hai?” Ye sabse bada sawal hai kyuki bahut se log isi wajah se YouTube se paisekamane me jyadatar fail ho jate hai. Aapko jyada kuch nahi karna hai bas ye steps follow kare.

Step 1:Maine yaha kuch aesi bate batai hai jo aapme bahut jarur honi chahiye.

1.Your Voice:YouTube se paise kamane me sabse pahle jaruri hai ki aapki aawaj kaisi hai. Kyoki audience video maker ki aawaj par sabse jyada dhyan dete hai.

2.Your Style: Video me sirf bolne or video me samne ho kar users se bat karne me samne rahakar banayi gayi video jyada better hoti hai. Isliye aese me ye aap depend karta hai ki aapki style kaisi hai.Users aapko kitna pasand karte hai.

3.Your Talent: Aap video ke throw logo ko kitna sikha sakte ho impressive kar sakteho jisse wo aapke new video ka hamesha intjar kare.

4.Video Quality: Aapke banaye video ki quality acchi honi chahiye jise jyada se jyada users pasand kare.

Step 2:Yaha main wo chij ke bare me bata raha hu jo aapke pas jarur hone chahiye.

1.Camera: Video banane ke liye aapke pas ek accha camera hona chahiye. Agar aap computer ki screen record kar ke video banana chahate ho to Camtasia studio software use kar sakte ho.

2.Video Editing: Aapko video edit karne ke bare me thodi bahut (basic) jankari honi chahiye jisse aap better video edit kar sako.

3.Computer: Video edit karne ke liye aapkepas ek computer ya laptop hona bahut jaruri hai. Smartphone se YouTube se paise kamane ki soch rakhkar time west mat karo.

4.Good Audience: Video banane se pahle internet par aapke Facebook, google plus,twitter jaise other social media sites partohde bahut friends hone chahiye jo aapke video share karne par aapki video dekhe or aage bhi share kar sake.

2. YouTube Se Paisa Kamane Ka Tarika Youtube se paise kamane ka koi special tarika nahi hai.

Youtube se money earn karne ke liye aapko sirf video bana kar apne yotuube channel par upload karni hai.

 Aapko high qulaity videos banani hogi jinhe log pasad kare or aapko jyada se jyada support mile.

Video bana kar apne channel par upload karne ke bad jab aapki sabhi videos par total 10,00 viewsho jaye to videos ko Various Advertising Networks like google adsense me monetize karna hoga uske bad jab koi aapki videos view karega to aapki income hogi.

Ab aapko ye to pata chal hi gaya hoga ki YouTube par video upload karne se pahle aapke pas kya kya hona chahiye or kin kin chizo ki jarurat hoti hai to chaliye ab aage jante hai ki video se paise kaise kamaa sakte hai.

Youtube sepaise kamane ke kai tarike hai jaise:-

*.Google Adsense: Aap apni videos me adsense ads laga kar eanring kar sakte hai. (Mostly, yotuber yahi tarika istemal karte hai.)*.

Affiliate Marketing & CPA: Sabse pahle aap apne videos se related affiliate market company join kare or apna affiliate link generate kare. Use bad company ke product ke bare me promotion video banaye or video and description me apna affiliate link add kare. Jabviewers aapke referral link par click kar product buy karenge to aapki earning hogi.

Agaraap janna chahate hai ki affiliate marketing seearning kaise hoti hai to aap humari
Affiliate Marketing Kya Hai or Isse Income Kaise Hoti Hai post read kare.*.

Sell Own Product:Aap chahe to youtube par apne khud ke product sell karke bhi paisa kama sakte hai. Iske liye aap apne product ke bare me achhi video banaye or use kharidne ke bare me btane ke sath uski buying process description me bhi add kare taki user aapka product easily kharid sake.*.

Sell Your Videos:Aap chahe to apne video bhi sell karke paisa kama sakte hai. Iske liye aapko high quality video banana hoga jis par lakho views aaye uske bad aap kisi youtube channel admin ya advertiser se contact kar video sell kar sakte hai.*.

Promote other Channels:Iske alawa aap kisi other youtube channel ka promotion karke bhi youtube se paisa kama sakte hai.

3. YouTube Videos Se Income Kaise Hoti Hai - 

Hum jab bhi koi naya kaam start karte hai to hume uske bare me puri jankari hona bahut jaruri hai or agar nahi hai to pahle us kaam ke bare me pata kar lena chahiye.Ye har kam me success hone ki meri taraf se freetips hai to mai bat kar raha tha ki aap

YouTube par jo video upload karoge unse earning kaise hoti hai.

Jab bhi koi user aapki video dekhega to aapki 2 tariko se earning hogi.1.Jab koi aapke videos par show hone wale Overlay ads, Sponsored ads, Skippable video ads par click karta hai.2.Aap kisi bhi company, affiliate product ko promote kar ke bhi YouTube videos sepaise kama sakte hai. Jab koi aapke product ko buy karega to aapko affiliate company se commission milega.3.Aap dusre youtube channel ko promote karoge to apako channel admin iske liye pay karega.

Ab aap soch rahe hai ki mai aapko $1 ya $5 kyu bata raha hun fix income to iski wajha ye ki alag alag country me alag alag tarha se paise milte hai.Examply USA me aapki video ads ek click ke $2 se $10 milta hai jabki India me sirf $0.20 to $2hi milte hai.Agar aap YouTube se paise kamana nahi chahate ho to internet par or bhi bahut se kam aese hai jinse aap ghar baithe paise kama sakte ho.


4. YouTube Se Kitna Paisa Kama Sakte Hai?

Agar aap soch rahe hai ki youtube se ktina kamasakte ho to chaliye main aapko iske bare me bhi bta deta hu. Aap youtube se kitna kamoge ye aapke traffic/views, videos topics and user support par dpend karta hai.Aapko jitna jyada traffic milega utni hi jyada aapki earning hogi. Maine upar youtube se paise kamane ke kai tarike btaye hai. Har tarike se alag alag earning hogi. Adsnese se aap per 1,000,000 views par 300 dollar to $500 tak kama sakte ho.Affiliate marketing me aapke product par milne wala commission aapki earning decide karta hai.
 Jaise aapko per sell 2,000 milte hai or aapko mahine me 100 sel mil jati hai to aapki earning 2,00,000 hogi. Aapko kitni sell milengi wo aapki video ki quality or aapke experience par depend karta hai.
Agar aap khud ke product se earning kar rahe hoya kisi or channel ka promotion kar rahe ho to ye aapke channel ki popularity par depend karta hai ki log aapko kitna pay kar sakte hai or unko kitna fayda hoga.

5. YouTube Se Kamaye Gaye Paise Hume Kaise Milenge

Youtube se kamaye paise aapke account me kaise aayenge ye bahut bada sawal hai. Hum jab bhi koi online work start karte hai to hamare dimag me ek bat jarur aati hai ki hame payment kaise milega or kon hame payment dega.
YouTube par mostly google adsense ke ads laga kar earning ki jati hai. Adsense se hone wali earning ka payment google wire transfer EFT ke through karta hai. EFT ka matlab Electronic Funds Transfer hota hai.Iski process bahut hi easy hai. Aapko bank adsense account me apna bank account add karna hota hai.

Ab aap sab kuchh smjh gye honge Next post me me apko youtube se earning ki or zyada jaankari dunga

so friends kesi lagi apko ye post comment me zarur bataye..

...... thanks all readers..... 

No comments:

Post a Comment

Earning from YouTube

Youtube Channel Par Subscribers Badhane Ki 20 Best Tips

Youtube Channel Par Subscribers Badhane Ki 20 Best Tips By inzmam khan Youtube  video bana kar online money earn karne ka sabse a...